jis ko dekho vahi paikar men uljha hua hai
har gareban kisi taar men uljha hua hai
dasht bechain hai vahshat ki pazira.i ko
dil-e-vahshi dar-o-divar men uljha hua hai
jang dastak liye aa pahunchi hai darvaze tak
shahzada lab-o-ruḳhsar men uljha hua hai
ik hikayat lab-e-iz.har pe hai soḳhta-jan
ek qissa abhi kirdar men uljha hua hai
sar ki qimat mujhe ma.alum nahin hai lekin
asman tak miri dastar men uljha hua hai
aa.iye biich ki divar gira dete hain
kab se ik mas.ala be-kar men uljha hua hai
Leave a Reply