• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Jis Ne Jaan di Hai Nan dega

Ye Jis Ne Jaan di Hai Nan dega

poet

ye jis ne jaan di hai naan dega

diya hai jis ne sar saman dega

mizha se us kaman-abru ki bachna

vo navak hai kaleja chhan dega

mashaqqat se vo de ya be-mashaqqat

ba-har-surat ba-har-unvan dega

vo bosa de ke dil le kar ye bole

evaz ehsan ka kya insan dega

milega qadr-dan-e-ishq ham ko

khuda maashuq baiman dega

sunenge tab butan-e-hind apni

ijazat jab unhen shaitan dega

fasana kohkan ka sun ke bole

jo ashiq hoga vo hi jaan dega

na thi ummid tujh se qasim bakht

dil-e-pur-dard o pur-arman dega

rah-e-ulfat ka huun kar-azmuda

kisi ko dil koi anjan dega

chalega tiir jab apni dua ka

kaleje dushmanon ke chhan dega

muqaddar se zyada ek luqma

gada kya lega kya sultan dega

lipat jaunga un se roz-e-vaslat

agar mujh ko khuda ausan dega

na phaila ‘muntahi’ dast-e-havas ko

vagarna ye tujhe nuqsan dega

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ek Khaali Chand Hi Lab-E-Ju Rakhna Tha

Ek KHwab Tha Aankhon Mein Jo Ab Ashk-E-Sahar Hai

poet

Phaili Hui Hai Sari Dishaon Mein Raushni

Ho Jate Hain Jab Apne Marizon Se KHafa Aur

poet

daman-E-dil Se Gard-E-Talluq Ko Jhadiye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet