saaqi ki nigahon ka paigham nahin aata
jis jaam ka talib huun vo jaam nahin aata
mai-ḳhvaron ki laghzish par duniya ki nigahen hain
na-fahmi-e-va.iz par ilzam nahin aata
allah-re majburi allah-re mahrumi
ya barish-e-sahba thi ya jaam nahin aata
betabi-e-dil raz-e-taskin-e-mohabbat hai
achchhe hain vahi jin ko aram nahin aata
ya dil ke dhaḌakte hi uThti thi nazar un ki
ya dil ka taḌapna bhi ab kaam nahin aata
mai-kash ki bhi sunta hai zahid ki bhi sunta hai
us dar se kabhi koi nakam nahin aata
meri hi nazar ‘sha.ir’ rusva hai zamane men
husn-e-sar-e-mahfil par ilzam nahin aata
Leave a Reply