jab mera ghar bahisht si gul-vadiyon men tha
us vaqt main ghira hua shahzadiyon men tha
vo din hava hue vo zamane guzar gae
bande ka jab qayam pari-zadiyon men tha
yak baar jo ujaḌ gae baste hue nagar
lagta hai koi bhuut bhi in vadiyon men tha
baiTha tha jis pe main ne vahi shaḳh kaaT di
ḳhud mera haath hi miri barbadiyon men tha
sad shukr hai ki mujh pe nigah-e-karam paḌi
kab se udaas baiTha main fariyadiyon men tha
apne banae jaal men ḳhud phans ke rah gaya
masruf mera yaar jo ustadiyon men tha
‘hasrat’ zara si bhuul hamen qaid kar gai
vo lutf ab kahan hai jo azadiyon men tha