kahin main kam huun abhi tak kahin siva huun main
main ban chuka huun ya ab tak nahin bana huun main
ye aur baat ki ham ne pata laga hi liya
kabhi ḳhuda ne bataya nahin ḳhuda huun main
main intizar men baiTha huun apne hone ke
kabhi jo pesh na aaya vo hadisa huun main
kivaḌ khol ke puchha to kuchh nahin boli
kivaḌ band kiye to kaha hava huun main
mujhe manane ki koshish to kar rahe ho tum
tumhen ḳhabar bhi hai kis baat par ḳhafa huun main
pata nahin ki ḳhuda kyon mujhe na sun paaya
falak se lauT ke aati hui dua huun main
Leave a Reply