ye ghalat hai ai dil-e-bad-guman ki vahan kisi ka guzar nahin
faqat is liye ye hijab hai ki kisi ko tab-e-nazar nahin
kaho kuchh haqiqat-e-mushtahar ki mujhe kahin ki ḳhabar nahin
ye manazir-e-do-jahan hain kya jo fareb-e-zauq-e-nazar nahin
kisi aah men nahin soz jab kisi naale men jab asar nahin
ye kamal-e-sozish-e-dil nahin ye farogh-e-dagh-e-jigar nahin
chamak uTh rahi hai jo pai-ba-pai ye tajalliyon ka ḳhazana hai
ye hujum-e-barq-e-tapan nahin ye mata-e-dard-e-jigar nahin
ye hai ehtimam-e-hijab kyuun ye hai band-o-bast-e-naqab kyuun
tumhen aankh bhar ke main dekh luun vo nazar nahin vo jigar nahin
vo rahin-e-lazzat-e-gham huun main na mili azal men jise tarab
main hi us karam ka tha muntazir main hi mustahiq tha magar nahin
kabhi vaqt-e-naz-o-niyaz hai kabhi mahv-e-zulf-e-ayaz hai
magar us pe bhi dil-e-ghaznavi karam-ashna-e-nazar nahin
ye tayyunat-e-nizam the faqat ek parda-e-masiva
ḳhabar us ki jab se hui mujhe koi is jahan ki ḳhabar nahin
tujhe kar-gah-e-fana bata inhi hastiyon pe ghurur hai
jo sharik-e-sud-o-ziyan nahin jo rahin-e-naf-o-zarar nahin
chamak ai charagh-e-zamir ab ki tulua mehr-e-kamal ho
vo lahad huun tira-o-tar main ki jahan bayaz-e-sahar nahin
na vo soz hai na vo saaz hai na vo dil ḳhazana-e-raz hai
vo sharar huun jis men dhuan nahin vo hajar huun jis men sharar nahin
nazar us ki hai miri samt abhi mira daman-e-goharin na dekh
abhi ḳhun-e-dil hai ruka hua abhi ansuon se ye tar nahin
chamak ai tajalli-e-dil-ruba nikal ai ḳhulasa-e-dua
ki nazara-e-do-jahan faqat ye ma.al-e-zauq-e-nazar nahin
ye jubba-sa.i-e-be-mahal mujhe shab ko de rahi thi ḳhabar
na miTa de zulmat-e-dahr jo vo nishan-e-sajda-e-dar nahin
ye taghayyurat-e-jahan nahin asar-e-talavvun-e-tab.a hai
tiri ik nazar ka karishma ye falak ki gardish-e-sar nahin
kaho sham.a se ki ye naql kya koi apna qissa-e-gham kahe
kare ab fasane ko muḳhtasar ki mujhe umid-e-sahar nahin
hai talash apni faqat mujhe main milun to hongi shikayaten
mujhe ab kisi se gila nahin mujhe ab kisi ki ḳhabar nahin
yahi manzilen hain vo manzilen ki jahannam un se panah le
dil-e-na-shanas-e-rah-e-vafa mujhe koi ḳhauf-o-ḳhatar nahin
miri ghaflaton ka gila na kar yahi nazm-e-kaun-o-fasad hai
ḳhabar is tilism-e-numud ki mujhe ho chuki hai magar nahin
sabaq us se le ki ḳhabar mile tujhe aane vaale zamane ki
hai taghayyurat ka aa.ina ye shikasta kasa-e-sar nahin
ye hain daar teri nigah ke kisi na-tavan se rukenge kya
dil-e-dagh dagh-e-‘aziz’ hai sitam-azma ye sipar nahin
Leave a Reply