ye dil ki dastan hai ki dil ghulam kar diya
ajiib log aap hain ajiib kaam kar diya
tumhari ye sakhvaten tumhari ye inayaten
jo gham tumhare paas tha hamare naam kar diya
dilon ka bhed khul gaya to phir ajiib rang men
dabi dabi si baat ko kisi ne aam kar diya
kisi ko surkh-ru kiya kisi ki bazm-e-shauq men
zara zara si baat par ye ehtimam kar diya
kabhi hamen bura laga kabhi hamen bhala laga
hamare dil ki baat ko kisi ne aam kar diya
udaan khub-tar hui jo panchhiyon ki daar ki
to gher-ghar kar kisi ne zer-e-dam kar diya
Leave a Reply