• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHuda Ki Shan Wo KHud Ho Rahe Hain Diwane

KHuda Ki Shan Wo KHud Ho Rahe Hain Diwane

ḳhuda ki shaan vo ḳhud ho rahe hain divane

jo rah-e-dasht se aa.e the ham ko palTane

nikal chale to hain targhib-e-dil pe ham ghar se

kahan lagenge Thikane ye ab ḳhuda jaane

na dil raha na rahi dil ki ḳhaak bhi baaqi

huzur aa.e hain ab intizar farmane

jo dil ki aag se vaqif banen vo kya jaane

lipaT ke sham.a se kyuun jal rahe hain parvane

nigah jin ko mili hai vo lutf lete hain

chhalak rahe hain paḌe kaifiyat se virane

nahin hai siine men paivast jis ke tir-e-nigah

vo rah-o-rasm hayat-o-mamat kya jaane

chale to hain ki dikha.enge un ko chiir ke dil

pahunch sakenge ham un tak ye ab ḳhuda jaane

ghaTe to chain nahin hai baḌhe to chain nahin

hamen laga hai ye kya rog koi pahchane

hai sar pe bojh to kya hai magar baḌhe niklo

na uTh sakoge jo baiThe zara bhi sustane

tamam umr hui ek hi ravish pe ‘jigar’

hazar baar hamen azmaya duniya ne

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jo Rahon Ke Patthar the Kya Ho Gae Hain

Sochte Aur Jagte Sanson Ka Ek Dariya Hun Main

poet

Mustaqil Did Ki Ye Shakl Nazar Aai Hai

Donon Gharon Ka Lutf Judagana Mil Gaya

Sufi

Fasurda-dil Hai Nazron Ki Pareshani Nahin Jati

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet