ye daur guzra kabhi na dekhin piya ki ankhiyan khumar-matiyan
kahe the mardum sharabi un kuun nikal gaiin apni de ghalatiyan
sivae gul ke vo shokh ankhiyan kisi taraf ko nahin hain raghib
to barg-e-nargis upar baja hai likhun jo apne sajan kuun patiyan
sanam ki zulfan ko hijr men ab gae hain mujh nain hain khvab rahat
lage hai kanta nazar men sona katengi kaise ye kaali ratiyan
jo shama-ru ke do lab hain shirin to sabza-e-khat baja hai us par
zamin pakdi hai tutiyon ne sunin jo mithi piya ki batiyan
khayal kar kar bhatak raha huun nazar jo aae tevar hain banke
banao banta nahin hai ‘naji’ jo us sajan ko lagaun chhatiyan
Leave a Reply