sa.i-e-ghair-hasil ko mudda.a nahin milta
be-niyaz dil ban kar dekh kiya nahin milta
zindagi-e-rafta ka kuchh pata nahin milta
ḳhak-e-pa to milti hai naqsh-e-pa nahin milta
us ka aa.ina hai dil ja-ba-ja nahin milta
dil men jab ho tariki phir ḳhuda nahin milta
amad-e-baharan ka ik payam laane se
kyuun tira dimagh aḳhir ai saba nahin milta
a.ina-ba-a.ina ham ne dekh Daale dil
ek sa zamane men dusra nahin milta
jo tiri nigahon se be-piye mila saaqi
laakh jaam pi kar bhi vo maza nahin milta
ḳhizr-e-rah ne kitne mir-e-karvan luuTe
haa.e vo jo kahte hain rahnuma nahin milta
us ki aur manzil hai meri aur manzil hai
shaiḳh se ‘figar’ apna rasta nahin milta
Leave a Reply