ye tum be-vaqt kaise aaj aa nikle sabab kya hai
bulaya jab na aa.e ab ye aana be-talab kya hai
mohabbat ka asar phir dekhna marne to do mujh ko
vo mere saath zinda dafn ho jaa.en ajab kya hai
nigah-e-yar mil jaati to ham shagird ho jaate
zara ye siikh lete dil ke le lene ka Dhab kya hai
jo gham tum ne diya us par tasadduq saikḌon ḳhushiyan
jo dukh tum se mile un ke muqabil men tarab kya hai
samajhte the baḌa sachcha musalman tum ko sab ‘muztar’
magar tum to buton ko pujte ho ye ghazab kya hai
Leave a Reply