• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Bhi Na Puchha Tumne Anjum Jita Hai Ya Marta Hai

Ye Bhi Na Puchha Tumne Anjum Jita Hai Ya Marta Hai

poet

ye bhi na puchha tum ne ‘anjum’ jiita hai ya marta hai

vah-ji-va ashiq se koi aisi ghaflat karta hai

nai javani nae-navele nadan alladh aur albele

sach puchho to tum ko sahib dil dete ji darta hai

puchhte kya ho haal hamara jiine ka hai kaun sahara

ro lete hain ji bhar bhar kar jab gham se ji bharta hai

un se nahin kuchh shikva ham ko un se nahin kuchh ranj-o-malal

kis se ai dil ishq kiya kis se chaah ko barta hai

rote rote hijr men kyun-kar jiine se dil ser na ho

kahte hain talab bhi sahib phevan phevan bharta hai

mujh ko to dil dene men kuchh uzr nahin ai jan-e-jahan

sach to ye hai dil hi khud kuchh aaga pichha karta hai

sail-e-sarishk-e-gham se ‘anjum’ khana-e-dil barbad na ho

dekho dekho kaaba ki buniyad men paani marta hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Sab Gharon Mein to Charaghon Ka Ujala Hoga

poet

Qabr Par Baad-E-Fana Aaiyega

hasrat-mohani

Chhup Ke Usne Jo Khud-Numai Ki

Husul-E-Maqsad Mein aaKHirash Yun Rahegi Qismat daKHil Kab Tak

Ruh Mein Ghor Andhere Ko Utarne Na Diya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet