ye be-nava.i hamari sauda-e-sar hai ghar men basa diya hai
makan ḳhali hai lekin is ko nigar-ḳhana bana diya hai
tamam umr-e-aziz apni isi tarah se ganva.i ham ne
kabhi jo so.e to ḳhvab dekha kisi ne ham ko jaga diya hai
na kuchh raha hai ki ham hi rakhte na kuchh bacha hai ki tum ko dete
mata-e-dil thi luTa ke aa.e jo qarz-e-jan tha chuka diya hai
ye shaan dekho qalandaron ki hai jis pe dar-o-madar-e-hasti
vo ashiyan phunk kar har ik shaḳh par nasheman bana diya hai
ye zindagi ki sitam-zarifi nahin to phir aur kya hai ‘azar’
vo jin ki ḳhatir bhaTak rahe hain unhi ne ham ko bhula diya hai
Leave a Reply