• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Is Gali Ke Mod Par

Is Gali Ke Mod Par

fahmida-riaz

is gali ke mod par ik aziiz dost ne

mere ashk ponchh kar

aaj mujh se ye kaha

yuun na dil jalao tum

luut maar ka hai raaj

jal raha hai kul samaj

ye fuzul ragni

mujh ko mat sunao tum

burzhva samaj hai

luut maar choriyan is ka vasf-e-khas hai

is ko mat bhulao tum

inqalab aaega

us se lau lagao tum

ho sake to aaj kal maal kuchh banao tum

khaai se nikalne ki aarzu se pesh-tar

dekh lo zara jo hai dusri taraf hai gadha hai

aaj hain jo hukmaran un se badh ke khaufnak un ke sab raqib hain

dandana rahe hain jo le ke haath men chhura

shukr ka maqam hai

meri maskh laash aap ko kahin mili nahin

ik gali ke mod par

main ne puchha vaqai

sun ke muskura diya kitni der ho gai

lijiye main ab chala us ke baad ab kya hua

khadkhadain haddiyan

us gali ke mod se vo kahin chala gaya

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-ali-barqi-azmi

Hasb-e-Wada Mujhse Milne Wo Kabhi Aaya Nahin

poet

Man Ki Mai Ho to Piyale Nahin Dekhe Jate

Nigah-E-Qahr Hogi Ya Mohabbat Ki Nazar Hogi

Koi Bhi Shai Ho Miyan Jaan Se Pyari Kise Hai

Shahr Se Kya Gai Jaanib-E-Dasht-Ezar Zindagi faKHta

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet