rahi ye aarzu akhir ke dam tak
na pahuncha sar mira tere qadam tak
nishana aur hi manzur hai aaj
jo tiir us ka nahin aata hai ham tak
falak ke paar hui go aah hasil
na pahunchi go bana gosh-e-sanam tak
likhun kis tarah jo guzre hai dil par
nahin aata vo mazmun qalam tak
pareshan bed-e-majnun hai nikalta
magar pahuncha hai shor-e-dil adam tak
Leave a Reply