ye mai-kashi ka sabaq hai nae nisab ke saath
ki khun-e-dil hamen piina hai ab sharab ke saath
bas is yaqin pe hoti hain laghzishen aksar
ki rahmaton ka bhi daata hai tu azaab ke saath
ye qurbaton ka ishara hai ya judai ka
jo zard phuul mila hai tire javab ke saath
zara vo saath bhi chalte hain laut jaate hain
hijab tuut rahe hain magar hijab ke saath
kahin hai tangi subu ki kahin faravani
to phir giraft bhi maula usi hisab ke saath
agar raqib nahin hai to kaun hai vo shakhs
dikhai deta hai jo aj-kal janab ke saath
khayal-e-sud-o-ziyan aur husul-e-manzil-e-ishq
zaval-e-umr men jaise koi shabab ke saath
faqat yuun shor machane ka faeda kya hai
saza bhi dena zaruri hai ehtisab ke saath
hamare ho to zara khul ke e’timad karo
naya saval uthate ho kyuun javab ke saath
ye apne aap ko paana hai tujh ko khona kyuun
tamam umr kati hai is iztirab ke saath
ye sab ghurub ke asar hain ayaan ‘adil’
ki saae badhne lage dhalte aftab ke saath
Leave a Reply