apni qismat men gham-e-arsa-e-hijran hai to kya
ashk minnat-kash-e-gahvara-e-mizhgan hai to kya
husn arbab-e-haqiqat ko hai nazura-e-haq
shaiḳh ji aap ko andesha-e-iman hai to kya
vaqt ke saath fuzun hota hai ehsas-e-ziyan
fahm-o-idrak hi gharat-gar-e-insan hai to kya
be-muhabana masarrat ke ta.aqub men na dauḌ
dam-e-nairang pas-e-sarhad-e-imkan hai to kya
ham to ik umr se hain muntazir-e-marg-e-ḳhizan
ab ke logon men agar zikr-e-baharan hai to kya
mausam aata hai to kanTon hi men gul khilte hain
dast-e-gul-chin men agar nazm-e-gulistan hai to kya
zer-e-ta.amir isi haal men hai mustaqbil
is men kuchh reḳht ka pahlu bhi numayan hai to kya
Leave a Reply