• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zanjir Se Junun Ki Khalish Kam Na Ho Saki

Zanjir Se Junun Ki Khalish Kam Na Ho Saki

aal-e-ahmad-suroor

zanjir se junun ki khalish kam na ho saki

bhadki agar ye aanch to maddham na ho saki

badle bahar-e-lala-o-gul ne hazar rang

lekin jamal-e-dost ka aalam na ho saki

kya kya ghubar uthae nazar ke fasad ne

insaniyat ki lau kabhi maddham na ho saki

ham laakh bad-maza hue jam-e-hayat se

jiine ki pyaas thi ki kabhi kam na ho saki

jo jhuk gai jabin tire naqsh-e-qadam ki samt

ta-zist phir vo aur kahin kham na ho saki

mujh se na puchh apni hi tegh-e-ada se puchh

kyuun teri chashm-e-lutf bhi marham na ho saki

kitne rumuz-e-shauq in ankhon men rah gae

jin se nigah-e-dost bhi mahram na ho saki

mauj-e-nasim apni baharen luta gai

lekin khizan ki muda-dili kam na ho saki

allah-re ishtiyaq nigah-e-umid ka

khoe houun ki yaad men pur-nam na ho saki

gul-kari-e-nazar ho ki rang-e-jamal-e-dost

kuchh baat thi ki ziist jahannam na ho saki

in ki jabin pe khair se ik rang aa gaya

meri vafa agarche musallam na ho saki

apne hi ghar ki khair manai tamam umr

ham se ‘surur’ fikr-e-do-alam na ho saki

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

zafar-iqbal

Abhi To Karna Padega Safar dobara Mujhe

Jab Bhi Mila Wo TuT Ke Humse Mila to Hai

Be-ruKH Hai Wo Pari Dil-E-Diwana Kya Kare

Main Pursish-E-Gham-E-Furqat Ki Dad Deta Hun

Ki Ehtiyat Dal Ne Bahut Par Kaha Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet