vo jo hoti thi faza-e-dastani le gaya
ahd-e-nau ghar ghar se pariyon ki kahani le gaya
aur le jaata bhi kya tuute hue rishte ka dukh
kasa-e-dil se lahu ankhon se paani le gaya
us ko jaana tha chala jaata magar jaate hue
chhin kar mujh se vo apni har nishani le gaya
kyuun nahin khilte ab ankhon men ravadari ke phuul
kya hua ye kaun rabt-e-darmiyani le gaya
vo qalandar the so un ko saari duniya ek thi
chal diye uth kar jahan bhi dana-pani le gaya
ik nazar men kar diya mashur kya sahir tha vo
munjamid kar ke mujhe meri ravani le gaya
us ke aage rang jitne the vo phike pad gae
sab pe sabqat ek aks-e-zaafrani le gaya
jitne dukh aae mitane ko hamin khud mit gae
kab koi ‘rakhshan’ hamari sakht-jani le gaya
Leave a Reply