nikhar aa.i nikhar aa.i sanvar aa.i sanvar aa.i
gulon ki zindagi le kar gulistan men bahar aa.i
mashiyyat ko nahin manzur do din parsa rakhna
idhar ki main ne tauba aur udhar fauran bahar aa.i
asiran-e-qafas ko vasta kya in jhamelon se
chaman men kab ḳhizan aa.i chaman men kab bahar aa.i
mujhe gulshan se ai josh-e-junun sahra ko ab le chal
yahan is ke siva kiya hai ḳhizan aa.i bahar aa.i
hamesha bada-ḳhvaron par ḳhuda ko mehrban dekha
jahan baiThe ghaTa uTThi jahan pahunche bahar aa.i
Leave a Reply