shajar ki shaḳh se jhula utar bhi sakta hai
tire baghair ye savan guzar bhi sakta hai
sameT rakkha hai apna vajud ḳhud main ne
ye aa.ina jo gira to bikhar bhi sakta hai
kabhi kabhi hamen milne ka izn de kar vo
hamari zaat pe ehsan kar bhi sakta hai
tamasha yuun na dikha apni be-niyazi ka
hamare sabr ka paimana bhar bhi sakta hai
vo jis ko da.ava hai tufan ka ruḳh badal dega
kabhi kabhi kisi andhi se Dar bhi sakta hai
kaha tha us ne ki milne zarur aa.ega
magar vo va.ade se apne mukar bhi sakta hai
baḌe saliqe se sab ko sambhal rakkha hai
zara si chuuk se kumba bikhar bhi sakta hai
dua.en mangti rahti huun roz-o-shab rab se
agar vo chahe muqaddar sanvar bhi sakta hai
Leave a Reply