Ye Baat Alag Hai Mera Qatil Bhi Wahi Tha

ye baat alag hai mirā qātil bhī vahī thā

is shahr meñ tārīf ke qābil bhī vahī thā

āsāñ thā bahut us ke liye harf-e-muravvat

aur marhala apne liye mushkil bhī vahī thā

tābīr thī apnī bhī vahī ḳhvāb-e-safar kī

afsāna-e-mahrūmi-e-manzil bhī vahī thā

ik haath meñ talvār thī ik haath meñ kashkol

zālim to vo thā hī mirā saa.il bhī vahī thā

ham aap ke apne haiñ vo kahtā rahā mujh se

āḳhir saf-e-aġhyār meñ shāmil bhī vahī thā

maiñ lauT ke aayā to gulistān-e-havas meñ

thā gul bhī vahī shor-e-anādil bhī vahī thā

daave the ‘zafar’ us ko bahut bā-ḳhabarī ke

dekhā to mire haal se ġhāfil bhī vahī thā

Leave a Comment