ye aur baat ki is ahd ki nazar men huun
abhi main kya ki abhi manzil-e-safar men huun
abhi nazar nahin aisi ki duur tak dekhun
abhi khabar nahin mujh ko ki kis asar men huun
pighal rahe hain jahan log shoala-e-jan se
sharik main bhi isi mahfil-e-hunar men huun
jo chahe sajda guzare jo chahe thukra de
pada hua main zamane ki rahguzar men huun
jo saaya ho to darun aur dhuup ho to jalun
ki ek nakhl-e-numu khak-e-nauha-gar men huun
kiran kiran kabhi khurshid ban ke niklunga
abhi charagh ki surat men apne ghar men huun
bichhad gai hai vo khushbu ujad gaya hai vo rang
bas ab to khvab sa kuchh apni chashm-e-tar men huun
Leave a Reply