ye apne aap pe tazir kar rahi huun main
ki apni soch ko zanjir kar rahi huun main
havaon se bhi nibhani hai dosti mujh ko
diye ka lafz bhi tahrir kar rahi huun main
na jaane kab se badan the adhure khvabon ke
tumhari aankh men tabir kar rahi huun main
daricha khole hue rang aur khushbu ka
suhani-sham ko tasvir kar rahi huun main
duaen maang rahi huun hava rahe jahil
gharonda ret pe tamir kar rahi huun main
vo muntazir hai mira kab se khud pe raat odhe
‘shabana’ subh si takhir kar rahi huun main
Leave a Reply