• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Imkan Khule Dar Ka Har Aan Bahut Rakkha

Imkan Khule Dar Ka Har Aan Bahut Rakkha

poet

imkan khule dar ka har aan bahut rakkha

is gumbad-e-be-dar ne hairan bahut rakkha

abad kiya dil ko hangama-e-hasrat se

sahra-e-tag-o-dau ko viran bahut rakkha

ik mauj-e-fana thi jo roke na ruki aḳhir

divar bahut khinchi darban bahut rakkha

taron men chamak rakkhi phulon men mahak rakkhi

aur ḳhaak ke putle men imkan bahut rakkha

jalti hui batti se gul phuuT nikalte hain

mushkil se bhi mushkil ko asan bahut rakkha

kuchh hai jo nahin hai bas vo kya hai ḳhuda jaane

yuun apni samajh se ham saman bahut rakkha

mashkuk hai ab har shai ankhon men ‘suhail’ apni

ham ne but-e-kafir par iman bahut rakkha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kisi Wahshat Mein Phir Aabaad Hona Chahta Hun

firaq-gorakhpuri

Karte Nahin Kuchh To Kaam Karna Kya Aae

insha-allah-khan-insha

Kya Bhala Shaikh-Ji The dair Mein Thode Patthar

Chand Nikla Gagan Mein Kya Kya Kuchh

Adam Mein Kya Ajab Ranaiyan Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet