haa.e kya haal kar liya dil ka
zaḳhm ab tak nahin siya dil ka
aa ke surat dikha in ankhon ko
bujh na jaa.e kahin diya dil ka
kal talak tha vafa ka sauda.i
aaj paḌhta hai marsiya dil ka
tole ehsas ki kasauTi par
hai judagana zaviya dil ka
koi rough-work ka nishan bhi nahin
ḳhali ḳhali hai hashiya dil ka
kamyabi ka inhisar us par
ham ko karna hai tasfiya dil ka
pyaas lagti nahin kabhi us ko
ḳhuun jis ne bhi pi liya dil ka
nasr men guftugu karen kyunkar
jab hai andaz nazmiya dil ka
jab nahin sujhta mujhe kuchh aur
bandh leta huun qafiya dil ka
‘shad’ ham ne to de diya tha use
kya pata us ne kya kiya dil ka
Leave a Reply