shauq asuda-e-tahlil-e-muamma na hua
tera bimar tilismat se achchha na hua
tu ne de kar mujhe jo ḳhvab utara tha yahan
in men ik ḳhvab bhi tera koi sachcha na hua
imtedad-e-sahar-o-sham zamanon ki qasam
ek bhi rang mire pyaar ka phika na hua
shauq-e-behad ne kisi gaam Thaharne na diya
varna kis gaam mira ḳhun-e-tamanna na hua
nafa-e-mushk ne pichha nahin chhoḌa ‘salim’
mujh sa haivan koi jangal men divana na hua
Leave a Reply