main use tujh se mila deta magar dil mere
mere kuchh kaam nahin aae vasail mere
vo junun-khez masafat thi ki dekha hi nahin
umr bhar paanv se lipti rahi manzil mere
tu mila hai to nikal aae hain dushman saare
vaqt kis kis ko utha laaya muqabil mere
abr-e-girya ne vo tufan uthae ab ke
mere dariyaon ko kam pad gae sahil mere
jitna hal karta huun utna hi bigad jaate hain
tu nahin janta ai dost masail mere
ishq men haar ke maani hi badal jaate hain
tujh ko malum nahin hai abhi qatil mere
be-ant safar mera muqaddar hai ‘salim’
mujh men tai karta hai ye kaun marahil mere
Leave a Reply