ye aarzu hai raat ka manzar dikha.i de
phir asman ka chand zamin par dikha.i de
ham sair kar rahe hain ḳhalaon ki rat-din
mumkin nahin ki koi samundar dikha.i de
meri shahadaton ka karishma to dekhiye
ab to lahu ki buund bhi ḳhanjar dikha.i de
mujh ko safar qubul hai lekin hai ek shart
main jis taraf bhi ja.un mira ghar dikha.i de
muddat se paniyon ka safar kar rahe hain log
yarab kahin to koi payambar dikha.i de
Leave a Reply