main samundar tha mujhe chain se rahne na diya
ḳhamushi se kabhi dariyaon ne bahne na diya
apne bachpan men jise sun ke main so jaata tha
mere bachchon ne vo qissa mujhe kahne na diya
kuchh tabi.at men thi avara mizaji shamil
kuchh buzurgon ne bhi ghar men mujhe rahne na diya
sar-bulandi ne miri shahr-e-shikasta men kabhi
kisi divar ko sar par mire Dahne na diya
ye alag baat ki main nuuh nahin tha lekin
main ne kashti ko ghalat samt men bahne na diya
baad mere vahi sardar-e-qabila tha magar
buz-dili ne use ik vaar bhi sahne na diya
Leave a Reply