• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ishq Ki Allah Ri Dushwariyan

Ishq Ki Allah Ri Dushwariyan

ishq ki allah ri dushvariyan

ik junun aur laakh zimmedariyan

ehtimam-e-zindagi-e-ishq dekh

roz mar jaane ki hain tayyariyan

ishq ka gham vo bhi tere ishq ka

kaun kar sakta miri gham-ḳhvariyan

be-ḳhudi-e-ishq jaise gham ki niind

gham ki ninden ruuh ki bedariyan

ik junun-e-ishq par qurban hain

hikmat-o-irfan ki sau hushyariyan

ishq bhi hai kis qadar bar-ḳhud ghalat

un ki bazm-e-naz aur ḳhuddariyan

chhuT kar rah jaa.en nabzen ishq ki

sahal ho jaa.en agar dushvariyan

ye niyaz-e-arzumandi na dekh

aur kuchh hain ishq ki ḳhuddariyan

ik nigah be-niyaz-e-ishq tak

husn ki hain sab ghalat-pindariyan

ai javani ai mohabbat marhaba

phir na ye ninden na ye bedariyan

iḳhtilaj-e-qalb ke daure nahin

ishq ki ‘bismil’ hain dil-azariyan

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kaun Sa Ishq-E-Butan Mein Hamein Sadma Na Hua

poet

Bas Dekh Raha Hun Mera Paimana Kahan Hai

Meri Zaban Ki Ibarat Hai Guftugu Teri

muneer-niyazi

dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Naghma-Gar Raha

poet

duniya Ki Justuju To Humse Na Ho Sakegi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet