bahut roya vo ham ko yaad kar ke
hamari zindagi barbad kar ke
palat kar phir yahin aa jaenge ham
vo dekhe to hamen azad kar ke
rihai ki koi surat nahin hai
magar haan minnat-e-sayyad kar ke
badan mera chhua tha us ne lekin
gaya hai ruuh ko abad kar ke
har aamir tuul dena chahta hai
muqarrar zulm ki miad kar ke
Leave a Reply