• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wo Bhi Kya Din the Ki Jab Us Ka Mera Yarana Tha

Wo Bhi Kya Din the Ki Jab Us Ka Mera Yarana Tha

vo bhi kya din the ki jab us ka mira yarana tha

aap se begana vo tha ḳhud se main begana tha

rabt-o-zabt-e-bahami ke haa.e vo raz-o-niyaz

ashiqana husn tha aur ishq ma.ashuqana tha

main agar gul tha to vo tha bulbul-e-shaida mira

aur agar vo sham.a tha to is ka main parvana tha

vo kabhi divana tha mere liye laila kabhi

main kabhi us ke liye laila kabhi divana tha

us ko tha didar hasil mujh ko nazzara nasib

mere us ke darmiyan ik jalva-e-janana tha

mere kufr-e-ishq men thi ek imani ada

us ke kafir husn men ik ishva-e-turkana tha

sajid-o-masjud ham baham the ham donon ka dil

ka.abe ka ka.aba tha aur but-ḳhane ka but-ḳhana tha

mere ashk-e-shauq-e-paiham men thi us ki dastan

us ke andaz-e-tabassum men mira afsana tha

jhuum bhi uTThi udhar kaif-e-tarb se ruh-e-naz

aur idhar honTon hi par mere abhi paimana tha

haa.e vo shahba-e-zulf-o-kakul-o-gesu ki jab

aftab-e-sub.h bhi ik sham-e-ishrat-ḳhana tha

shamil-e-anfas the naghmat-e-aish-o-imbisat

zindagi ke saaz ka har zer-o-bam shahana tha

aankh se dil men sama jaate the dil se ruuh men

zindagi-e-shauq ka har haal betabana tha

haa.e vo mai-ḳhvari-e-baham ka aalam aah jab

ehtimam-e-mai baghair-e-shisha-o-paimana tha

jab milin ankhon se ankhen jab mile honTon se honT

har nazar paimana thi aur har-nafas mai-ḳhana tha

uf vo rabt-o-zabt sharm-o-shauq jab ba-hamd-digar

ek jazba mushtarak tha aur bebakana tha

vo taqaddum sharm ka ho ya tajavuz shauq ka

daḳhil-e-mustasniyat-e-laghzish-e-mastana tha

uf vo fart-e-shauq jis ka naam tha ranjidagi

alam-e-ranjidagi kis darja mahbubana tha

barhami par haa.e vo jurmana-ha-e-jurm-e-shauq

vaj.h-e-afzuni-e-shauq-e-jurm har jurmana tha

ho rahe the yuun basar roz-o-shab umr-e-nashat

mehr-o-mah se ehtimam-e-zinat-e-kashana tha

be-ta.alluq zindagi hone ka tha imkan hi kya

zindagi zulf-e-ta.alluq thi muqaddar shana tha

runuma lekin muqaddar se hua vo ishq ke

jo talavvun husn ki fitrat men mahbubana tha

husn to hai ik tajalli sham-e-har-mahfil-sifat

vo to kah dega ye ik andaz-e-mashuqana tha

haan magar kal ishq ko dekha ki vo shorida-baḳht

baḌh chuka tha zindagi men maut se divana tha

ja raha tha be-irada be-ḳhayal-e-samt-o-rah

aur zaban par nala-e-mauzun ye mazlumana tha

chashm hai mahrum-e-surat gosh mayus-e-sada

ḳhvab tha jo kuchh ki dekha jo suna afsana tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kuchh Parindon Ko to Bas Do Chaar Dane Chahiyen

majrooh-sultanpuri

Go Raat Meri Subh Ki Mahram To Nahin Hai

Ek to Duniya Ka Karobar Hai

Husn Un Ka Apne Zauq-E-Did Mein Pata Hun Main

Main Nahin Hun Nahin Kahin Bhi Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet