sina-e-pur-soz yaksu chashm-e-giryan yak taraf
dil bache kya yak taraf atish hai tufan yak taraf
daam sabze ke se bachna tair-e-dil hai muhal
sabza-e-khat yak taraf zulf-e-pareshan yak taraf
mustaid hain us but-e-tannaz par bahr-e-nisar
yak taraf sabr-o-dil-o-din jan-o-iman yak taraf
kis pe shab-khun marne kuun ki saf-ara fauj-e-naz
yak taraf syahi misi ki surkhi-e-pan yak taraf
phir bahar aai jo baham mustaidd-e-jang hain
yak taraf dast-e-junun jaib-o-gareban yak taraf
tuk sama kar ai ‘jahandar’ aaj us kuche men ja
tegh-bar-kaf hai vo yaksu aur raqiban yak taraf
Leave a Reply