• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ek Barq-E-Tapan Kaudde Bijli Si Chamke Jae

Ek Barq-E-Tapan Kaudde Bijli Si Chamke Jae

ik barq-e-tapan kaunde bijli si chamke jaa.e

is ariz-e-rangin se parda jo sarak jaa.e

zahid ho to chhak jaa.e naseh ho to thak jaa.e

kam-zarf hai vo mai-kash jo pi ke bahak jaa.e

savan ki ghaTa uTThe bhadon ka saman bandhe

vo zulf jo bikhra de mahaul mahak jaa.e

kaliyon ke tabassum par tum bhi na kahin hans do

Dar hai ki rag-e-gul men kanTe na khaTak jaa.e

ai jur.at-e-rindana kuchh tu hi madad farma

ya un ka hijab uTThe ya meri jhijhak jaa.e

aa.e bhi to ho jaa.e jazb ankhon hi ankhon men

vo ashk nahin hai jo palkon se Dhalak jaa.e

kya shai hai ta.alluq bhi kya chiiz hai nisbat bhi

jab zikr tira aa.e kanTa sa khaTak jaa.e

ab sabr-o-tahammul ka ai ‘taj’ ḳhuda-hafiz

paimana labalab hai dekho na chhalak jaa.e

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Nau-Khand Aur Je Asman Aahe

Ek Pal Bhi Mere Haal Se Ghafil Nahin Thahra

poet

Khudaya Hind Ka Raushan Charagh-E-Arzu Kar de

poet

Ek Main Hun Ek Tu Hai Ba-KHabar Koi Nahin

Hum Apni Ruh Ke Upar Azab Dekhte Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet