tiri ankhon ko tere husn ka dar jaana tha
ham ne dariya ko hi dariya ka safar jaana tha
muntazir the tire malbus ke sukhe hue phuul
vo jinhen tere pahanne se sanvar jaana tha
izn-dar-izn chamakte the sitare dil ke
aaj sab ko tiri ankhon men utar jaana tha
reza-e-kuhl ke manind kisi roz hamen
teri palkon ke kinare pe bikhar jaana tha
vaa.e is dil ko na deni thi kabhi ruḳhsat-e-hijr
tere honTon ke qadam chuum ke mar jaana tha
aur phir yuun hai ki rakhti thiin jo is dil ko ḳharab
un nigahon ko tiri aur sanvar jaana tha
Leave a Reply