shikast-e-asman ho ja.unga main
zamin ko oḌh kar so ja.unga main
ḳhalaon men mujhe DhunDa karoge
nazar se duur jab ho ja.unga main
taḌap jis ki bana deti hai pagal
vo yad-e-ham-safar ho ja.unga main
tumhari aankh ho ja.egi zaḳhmi
jahan ki gard men kho ja.unga main
mire sajde kabhi rusva na honge
tumhara sang-e-dar ho ja.unga main
tiri sahra-navardi par hansenge
vo jangali phuul jo bo ja.unga main
guzar kar dasht se ‘salim’ junun ke
safar ki aabru ho ja.unga main
Leave a Reply