yas-o-umid-o-shadi-o-gham ne dhuum uTha.i siine men
ḳhuub mujhe hai aaj dhama-dham mar-kuTa.i siine men
diid kiya jo vadi-e-majnun ham ne dhun men vahshat ke
shakl mujassam ho ke junun ki aan sama.i siine men
shaiḳh-o-barhaman dair-o-haram men DhunDhte ho kya la-hasil
muund ke ankhen dekho to hai saari ḳhuda.i siine men
qahr kiya ye tum ne sahab aankh laḌana aafat tha
jhaT-paT dil ko phunk diya aur aag laga.i siine men
hazrat-e-dil to kab ke sidhare ḳhuub jo DhunDa ‘insha’ ne
ek dhuan sa aah ka uTTha ḳhaak na paa.i siina men
Leave a Reply