yaas makan-e-dil se nikal kar kone kone jalne vaali
darmanda si lauT aa.i hai raat hai shayad Dhalne vaali
tum ko hamari chaah nahin hai jab se ye vishvas hua hai
har tahrir jala Daali hai soch hai ruup badalne vaali
chand ki ḳhuddari se main ab dars-e-ḳhud-agahi leta huun
varna ye mayusi ki zulmat sadiyon se thi badalne vaali
giton ko dafna do yahin par chiḳhon ke uslub janm do
hangamon ki riit yahi hai aur yahi hai chalne vaali
kaise kaise sahib-e-nazran sar-ba-gareban ghuum rahe hain
aaj hai jaane kis ki savari fan ke makan se nikalne vaali
Leave a Reply