tandurusti di khuda ne to naqahat na gai
yaani tauba se bhi isyan ki nadamat na gai
shaikh-ji mahfil-e-rindan se ye kahte nikle
shukr-sad-shukr ki bazar men izzat na gai
naam baaqi hai zamana men to bhar paaya
gae mardan-e-khuda khalq se shohrat na gai
kis ka jalva nazar aaya tha use roz-e-azal
aaj tak nargis-e-bedar ki hairat na gai
mar gaya mar ke bhi thandi na hui laash mari
soz-e-furqat ki magar dil se hararat na gai
zard nuqra nahin insan ki tarah murda-pasand
jo gaya qabr men tanha gaya daulat na gai
huur jo tujh se mushabah thi usi ko dekha
marne ke baad bhi zalim tiri ulfat na gai
nafas bahkata hai piiri men to kahta huun ‘sakha’
kyuun ba-shaitan tiri ab bhi shararat na gai
Leave a Reply