itna mat roya kar laḌki
baiTh ga.iin buniyaden ghar ki
dekh musavvir gahra paani
aur tasvir bana andar ki
umr pe taari ho jaati hai
nabz kabhi ik lamhe bhar ki
tariki hi tariki hai
bujhe kaun paheli Dar ki
saare aansu pi jaati hai
maan se nisbat hai chadar ki
raste men dil haar aa.e hain
ḳhaak kahen rudad safar ki
yaar ‘shumama’ dekh sambhal kar
kanch hai tu duniya patthar ki
Leave a Reply