sulagti ret pe chalna paḌe ḳhuda na kare
miri tarah tujhe qismat barahna-pa na kare
phir is ke baad miri zindagi vafa na kare
main tujh ko bhuul ke zinda rahun ḳhuda na kare
ik ek pal hai aziyyat nafas nafas hai azaab
jo mujh ko dekh le jiine ka hausla na kare
jise majal-e-takallum na ho vo chup baiThe
baḌon ki baat sune koi tabsira na kare
chhue baghair charaghon ko vo guzar jaa.e
hava se koi bhi aisa mutalba na kare
ye nasl lafz-e-mohabbat se ashna hi nahin
koi kisi se bhi tahzib ka gila na kare
ḳhabar ye hai ki udhar chal rahi hai garm hava
koi parinda bhi hijrat ka faisla na kare
suluk jis ka ho sab ke liye shajar jaisa
kisi bhi umr men bachchon ka aasra na kare
ye mashvara hai mira ‘ramz’ e’tiraz nahin
para.i aag bujhane men ḳhud jala na kare
Leave a Reply