fana ke dasht men kab ka utar gaya tha main
tumhara saath na hota to mar gaya tha main
kisi ke dast-e-hunar ne mujhe samet liya
vagarna paat ki surat bikhar gaya tha main
vo khush-jamal chaman se guzar ke aaya to
mahak uthe the gulab aur nikhar gaya tha main
koi to dasht samundar men dhal gaya akhir
kisi ke hijr men ro ro ke bhar gaya tha main
Leave a Reply