nadi ke saath bhi kuchh mas.ala tha
samundar ka bhi apna da.era tha
dua.en kar rahe the naqsh saare
musavvir soch men Duuba hua tha
mujhe ḳhud par nadamat ho rahi thi
main us ki ḳhamushi ko sun raha tha
agar sab zaḳhm mere bhar chuke the
to mujh men kaun aahen bhar raha tha
andhera ghar ka duniya ko dikhane
dariche par diya rakha gaya tha
shajar ke saa.e men ham baiThte the
parindon se hamara rabta tha
Leave a Reply