• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Kash

Kash

darshika-wasani

us khamosh qile ki

sakht lohe si divaren

har taraf safed ghamgin parde

vo apni ali-shan kursi par baithi

koi hisab jod rahi hai

us ka phika sapat bojhal chehra

jaise bhitar ka ek ruup

us ke uupri ruup rang ko kha chuka ho

achanak darvaze ki dastak

dabi hui siskiyon ka shor

unche darvaze ko kholte hi

us ki bhav-vihin ankhon men

sanvednaon ki halchal ho uthti hai

subh ki os narm dhuup men

nazuk kopal sa ek bachcha

apni chikh ko gale men thuus kar

us ki taraf qile ki taraf

dauda aa raha tha

abhi gale laga kar ro padega jaise

vo ek tuk use dekhti rahti hai

magar gale nahin laga paati vo

us ka hirdai kahta hai ki bhej de use

vapas us ke ghar jahan

us ka intizar ho raha hoga

is tivr ichha ke saath

barson se nirlap rahi us ki ankhon men

dabi hui bhavnaen gati-man ho kar bahne lagti hai

he ishvar vo ankhen muund leti hai

mez par rakhi hisabon vaali kitab dikhai deti hai

aur nau-pallavit paude ki

nazuk daali jaisi ungliyan thaam kar

vo use qile ke bhitar le aati hai

toting darvaza karkash avaz ke saath

band ho jaata hai

vo bilakhte hue bachche ko aghosh men le leti hai

khamosh kamre men us maasum ki

dhadakne sansen siskiyon ka shor

tez ho uthta hai

vo kas ke us bachche ko

apne bhitar samet kar gahri niind sula deti hai

jab koi shor baaqi nahin rahta tab

us ke bhitar ka rudan bahar aane ko tadapta hai

magar us ke adh-mare man mastishk

use yaad dilate hai ki

maut matam nahin mana sakti

kaash mujhe bhi haq hota

darvaze pe aae ko vapas bhejne ka

kaash

bhari qadmon pe uth kar vo

us kitab men kuchh jod deti hai

din ka ujala surya ka tej

lajjit ho kar sar jhuka lete hai

hava bhi chhobhit ho kar niili pad jaati hai

saari sirishti andhkar ki gart men dubne lagti hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Chattan Ke Saye Mein Khada Soch Raha Hun

waseem-barelvi

Adna Sa Basi

Ek Pili Chamkili chiDiya Kali Aankh Nashili Si

ada-jafarey

Chaak-E-dil Bhi Kabhi Silte Honge

Sawan Ka Mahina Bhi Hai Barish Bhi Nahin Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet