bada-e-vahshat-asar se mast virane men tha
ek aalam be-khudi ka tere divane men tha
jalva farmata vo kaabe men na but-khane men tha
dhundhta tha jis ko main vo dil ke kashane men tha
hasraten thiin raqs men saz-e-tarab thi ah-e-dil
aish duniya-bhar ka mere ek gham-khane men tha
puchhta kya hai haqiqat us ki mujh se mohtasib
kya bataun main tujhe kya mere paimane men tha
josh-e-vahshat men thi us ki justuju donon taraf
ik qadam mera tha ghar men ek virane men tha
har ghadi thi jis ke jalve ki nigahon ko talash
nuur us ka aankh men vo dil ke kashane men tha
surkh dore aa gae piite hi saaqi aankh men
ye mai-e-gul-rang thi ya khuun paimane men tha
la saka ai shama dam-bhar bhi na tab-e-soz-e-ishq
khaak hone ke siva kya khaak parvane men tha
aur kya kaabe men milta sang-e-asvad ke siva
dhundhta tha jis ko tu zahid vo but-khane men tha
naghma-e-haq ki sada har-dam kiye deti thi mast
kis maze ka ik tarannum dil ke paimane men tha
meri rahat ka zariya thiin miri azadiyan
vo qadam tha aish-khane men jo virane men tha
kaund kar girti thiin dil par har taraf se bijliyan
ik naya andaz un ke tegh chamkane men tha
chashm-e-haq-bin ke liye hain ek hi dair-o-haram
saaf kaabe men nazar aaya jo but-khane men tha
ab vo rang-e-bada-e-ulfat ilahi kya hua
joshish-e-hubb-e-vatan jo dil ke paimane men tha
kya kahun kis shai ne ‘raunaq’ kar diya mast-e-alast
tha vo ik rang-e-mai-e-irfan jo paimane men tha
Leave a Reply