yaar ke ruḳh ne kabhi itna na hairan kiya
fikr-e-sar-e-zulf ne jaisa pareshan kiya
aisa kisi se junun dast-e-gareban na ho
chak-e-gareban ka bhi chaak gareban kiya
kar chuka tha zahr-e-rashk parde men kaar apna lek
tegh-e-juda.i ne zor kar-e-numayan kiya
ishq tire haath se tu hi bata kya karen
vasl men hairan kiya hijr men giryan kiya
aish-o-gham-e-bagh-e-dahr vahm hai Tuk gul ko dekh
chaak kiya tu kahe main kahun ḳhandan kiya
us ka charagh-e-murad rahiyo farozan mudam
daghon se dil ko mere jis ne charaghan kiya
ishq ki kya tarbiyat tujh se kahun ai ‘raza’
aah ko naala kiya naale ko afghan kiya
Leave a Reply