• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tum Se Ab Kaamyab Aur Hi Hai

Tum Se Ab Kaamyab Aur Hi Hai

poet

tum se ab kamyab aur hi hai

aah ham par azaab aur hi hai

us ko aina kab pahunchta hai

husn ki ab-o-tab aur hi hai

rind vaaiz se kyuun ki sarbar ho

us ki chhu, ki kitab aur hi hai

hijr bhi kam nahin hai dozakh se

is safar ka azaab aur hi hai

us ko lagti hai kab koi talvar

tegh-e-abru ki aab aur hi hai

yuun to hai surkh yaar ka chehra

par piye jab sharab aur hi hai

mujh ko is niind se nahin aram

mujh ko rahat ka khvab aur hi hai

bahs-e-ilmi se kab hain ye qaail

jahilon ka javab aur hi hai

yaad men teri zulf-o-kakul ki

dil ke taiin pech-o-tab aur hi hai

us sitamgar ka mujh pe har saaat

jaur-o-zulm-o-azab aur hi hai

kis tarah se guhar kahun ‘taban’

us ke dandan men aab aur hi hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

TuT Kar Aur Bhi Gudaz Hua

muneer-niyazi

Khalish

poet

Qazi Ke Munh Pe Mari Hai Botal Sharab Ki

poet

Falak Ki Gardishen Aisi Nahin Jin Mein Qadam Thahre

Lab Pe Harf-E-Motabar Rakhta Hai Wo

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet