• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bataen Kya Tujhko Chashm-E-Pur-Nam Hua Hai Kya KHun Aarzu Ka

Bataen Kya Tujhko Chashm-E-Pur-Nam Hua Hai Kya KHun Aarzu Ka

bata.en kya tujh ko chashm-e-pur-nam hua hai kya ḳhuun aarzu ka

bana gul-e-dagh-e-yas-o-hasrat jo dil men qatra bacha lahu ka

dabe jo ghuT ghuT ke dil men arman vo barq ban kar falak pe taḌpe

jo valvala ji men rah gaya tha vo bulbula ab hai ab-e-ju ka

abas hai to chara-gar-e-pareshan na tujh se kuchh ban paḌega darman

ki ho to tar-e-nafas se saman jarahat-e-dil ke ho rafu ka

khula lab-e-gor se ye uqda ki ḳhvab thi sab numud-e-hasti

vuquf na-mahrumi-e-manzil kamal hai meri justuju ka

na tujh ko mast-e-hava-e-gulshan ḳhizan men ai andalib dekha

nahin tu shaida.i bagh-o-gul ka magar fida.i hai rang-o-bu ka

use na phir kuchh diya dikha.i nazar paḌa vo jamal jis ko

khula haqiqat ka raaz jis par na us ko yaara tha guftugu ka

hai naf-e-zat aur nasḳh-e-hasti visal-e-janan ki shart-e-avval

bhara manazir se hai jahan sab jo sirf darshan ka tu hai bhuka

tilism-e-dair-o-haram hai tujh par hanuz dilli hai duur nadan

vahan tira ḳhaak dil lagega vo hai sarasar makan hu ka

ḳhabar kise sub.h-o-sham ki hai ta.a.inat aur quyud kaise

namaz kis ki vahan kisi ko ḳhayal tak bhi nahin vuzu ka

nahin muhit-e-rusum-o-millat hai be-nishan manzil-e-haqiqat

vahan na simran ki hatkaḌi hai na tauq-e-zunnar hai gulu ka

hain gharq-e-bahr-e-mai-e-mohabbat vahan hai ‘kaifi’ ye sab ki halat

hai daḳhl saaqi ki bazm men kya surahi-o-saghar-o-subu ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHwab Ke Ganw Mein Pale Hain Hum

Siyahi Dhal Ke Palkon Par Bhi Aae

Chashm-E-Nam Kuchh Bhi Nahin Aur Sher-E-Tar Kuchh Bhi Nahin

poet

Puchho Na Kuchh Kate Hai Ab Auqat Kis Tarah

ahmad-rahi

Tawil Raaton Ki Khamushi Mein Meri Fughan Thak Ke So Gai Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet