• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Yar Aaya Hai Ahwal-E-Dil-E-Zar Dikhao

Yar Aaya Hai Ahwal-E-Dil-E-Zar Dikhao

poet

yaar aaya hai ahval-e-dil-e-zar dikhao

iisa ko zara halat-e-bimar dikhao

aa jaao bas ab raah na ai yaar dikhao

mushtaq huun mushtaq huun didar dikhao

aalam hai so hai hijr men yaan josh-e-junun ka

sahra mujhe dikhlao ki gulzar dikhao

farda-e-qayamat ka na iqrar karo jaan

lo hashr sahi aaj hi didar dikhao

ashiq hain bahut ek to chun kar koi mujh sa

pushte ki tarah pusht-ba-divar dikhao

aalam nazar aa jaa.e bahar aur ḳhizan ka

ham zard hon tum phuul se ruḳhsar dikhao

talvar lagao mujhe goli se na maaro

til Dhank lo aur abru-e-ḳhamdar dikhao

har dam mutaqazi hai yahi hasrat-e-didar

phir ek nazar jalva-e-dildar dikhao

farmate ho ashiq hain mire tujh se hazaron

ai jaan ziyada nahin do-char dikhao

ishq abru o mizhgan ka buto saath hai dam ke

ḳhanjar mujhe dikhlao ki talvar dikhao

main qabr se bhi ‘rind’ yahi kahta uThunga

mushtaq huun mushtaq huun didar dikhao

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

najma-shaheen-khosa

Gai Ruton Ki Rafaqaton Mein Tumhein Milungi

ambareen-haseeb-ambar

Ayan donon Se Takmil-E-Jahan Hai

Sahar-Na-Ashna Koi Nahin Hai

Mausam Sard Hawaon Ka

aftab-hussain

Guzarte Waqt Ki Koi Nishani Sath Rakhta Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet